Safar ki had hai wahan tak ke kuch nishan rahe…

Safar ki had hai wahan tak ke kuch nishan rahe
Chale chalo ke jahan tak ye asman rahe…

Ye kya uthaye qadam aur agai manzil
Maza to jab hai ke pairon may kuch thakan rahe…

Wo shakhs mujh ko koi jalsaz lagata hai
Tum us ko dost samajhate ho phir bhi dhyan rahe…

Mujhe zamin ki geharaion ne dab liya
Main chahata tha mere sar pe asman rahe…

Ab apane bich marasim nahi adawat hai
Magar ye bat hamare hi darmiyan rahe…

Magar sitaron ki faslen uga saka na koi
Meri zamin pe kitane hi asman rahe…

Wo ek sawal hai phir us ka samana hoga
Dua karo ke salamat meri zaban rahe…

Leave a comment