“26 January…”  

 

Aao ki aaj ghaur karen is sawal par

Dekhe the hum ne jo wo hasin khwab kya hue

Daulat badhi to mulk mein aflas kyun badha

Khush-haali-e-awam ke asbab kya hue

Jo apne sath sath chale ku-e-dar tak

Wo dost wo rafiq wo ahbab kya hue

Kya mol lag raha hai shahidon ke khoon ka

Marte the jin pe hum wo saza-yab kya hue

Be-kas barahnagi ko kafan tak nahin nasib

Wo wada-ha-e-atlas-o-kim-khwab kya hue

Jamhuriyat-nawaz bashar-dost amn-khwah

Khud ko jo khud diye the wo alqab kya hue

Mazhab ka rog aaj bhi kyun la-ilaj hai

Wo nuskha-ha-e-nadir-o-nayab kya hue

Har kucha shoala-zar hai har shahr qatl-gah

Yak-jahti-e-hayat ke aadab kya hue

Sahra-e-tirgi mein bhatakti hai zindagi

Ubhre the jo ufuq pe wo mahtab kya hue

Mujrim hun main agar to gunahgar tum bhi ho

Ai rahbaran-e-qaum khata-kar tum bhi ho